HONEY, I LOVE YOU SO MUCH. ❤️
Mai aapse bohot zyada pyar karta hoon. Mai aapse bohot time tak door tha, aur aapne mera wait kiya — uske liye thank you. Aapki patience aur care mere liye bohot special hai.
Mai hamesha aapka rahonga. Maine aapko bohot zyada miss kiya. Har waqt mai aapko yaad karta tha, har waqt aapke baare mein sochta tha. Bas yehi sochta rehta tha ke kab hum phir se pehle ki tarah baith kar baatein kar paayenge.
Ab jab hum phir mil rahe hain, meri wish hai ke hum is waqt ko khoobsurat yaadon se bhar dein. Thank you for being you, Tehreem. ❤️